Shikwe b Hazaron hai Shikayat b boht hai
Shikwe b Hazaron hai Shikayat b boht hai
Is Dil ko magar usse Mohabat b boht hai
Aa jata hai milne wo Tasawwoor mai Hamare
Ek Shakhs ki itni si Inayat b boht hai
Yeh b hai Tamanna k use Dil se bhula dein
Is Dil ko magar uski Zaroorat b boht hai
Dekhein to zara pee ke Hun Zehr-e-Mohabbat
Sunte hain k is Zehr mai Lazzat b boht hai
Saturday, September 12, 2009 | 0 Comments
husn
Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai
Saturday, September 12, 2009 | 0 Comments
talash hai
jo mujhe sukoon ab de sake bas ab aise dar ki talash hai
vo gunaah ho ya sawab ho mujhe us amal ki talaash hai
mere sare sapne bikhar gae main to choor choor ho chuka
jo mujhe samet ke rakh sake us ek ghar ki talash hai
main khafa hun har ek rishte se ki sila hai inse mila nahi
jis rishte ka nahi naam ho ab usiki mujhko talash hai
kabhi titaliyon ke se khwab the aur ek phool meri talash thi
magar thokaren hi milin mujhe ab pattharon ki talash hai
vo ajeeb sa mera ek dost mere dil ke itne qareeb hai
ki apni khushi to main bhool gaya uski khushi ki talash hai
milen rahaten use chahten ki vo zindagi me sada hanse
ye doa meri jo sun sake mujhe us khuda ki talash hai
Saturday, September 12, 2009 | 0 Comments
jab aankh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
jalaa hai jism jahaa ne dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo (desire) kya hai ?
ragon mein daudte firne ke ham naheeN qaayal
jab aankh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
Saturday, September 12, 2009 | 0 Comments