feedburner
Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

feedburner count

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal

Labels:

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal

Pahle Haq Thha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pahle Haq Thha Teri Khushbu-e-badan Par Mera
Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi
Main Tere Gesu-o-rukhsar Ka Haqdar Nahi
Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal.......

Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kaise
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise
Meri Kismat Men Nahin Pyaar Ki Khushboo Shayad
Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Nahin Tu Shayad
Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal
Log Tufaan Uthha Denge Mere Saath Na Chal......

Mujhse Kehti Hain Ye Khamosh Nigahen Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri
Aur Gairat-e-ehsaas Pe Sharminda Hun
Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahein Teri
Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal
Log Tufaan Uthha Denge Mere Saath Na Chal......



Lag jaa gale ke phir yeh haseen raath ho na ho

Labels:

Lag jaa gale ke phir yeh haseen raath ho na ho
Shaayad phir is janam mem mulaaqat ho na ho (Lag jaa)

Hum ko mile hai aaj yeh ghadiyaan naseeb se
Jee bhar ke dekh leejiye hum ko kareeb se
Phir aap ke naseeb mem yeh bath ho naho
Shaayad phir is janam mem mulaaqat ho na ho (lag jaa gale)

Paas aayie ke hum nahin aayenge baar baar
Baahein gale mein daal ke hum ro le zaar zaar
AAnkon se phir yeh pyaar ki barsaath ho na ho
Shaayad phir is janam mem mulaaqaat ho na ho (Lag jaa gale)



dil ki choton nay kabhi chain sey rehnay na diya

Labels:

dil ki choton nay kabhi chain sey rehnay na diya
jab chali sard hawa mai nay tuhgay yaad kiya

iss ka roona nahi kyoon tum nay kiya dil barbaad
iska gham hai kay bohut dair mai barbad kia

hum ko kiskay gham nay mara, hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
kisnay tora dil hamara kisnay tora dil hamara yeh kahani phir sahi

dil kay lutnay ka sabab poocho na sab kay samnay
naam aaega tumhara ... ye kahani phir sahih

hum ko kiskay gham nay mara, hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
kisnay tora dil hamara kisnay tora dil hamara yeh kahani phir sahi

nafraton kay teer kha ker doston kay shehar main
hum nay kis kis ko pukara ....ya kahani phir sahih

hum ko kiskay gham nay mara, hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
kisnay tora dil hamara kisnay tora dil hamara yeh kahani phir sahi

kia batain pyar kee baazi wafa kee rah main
kaun jeeta kaun hara ... ye kahani phir sahih



bimar

Labels:

nabaz meri dekhkar mujhko ishq ka bimar likh diya,
main kyu na jaun qurbaan us hakim pe,
jisne ilaaz me us ka deedar likh diya