feedburner
Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

feedburner count

dil ki choton nay kabhi chain sey rehnay na diya

Labels:

dil ki choton nay kabhi chain sey rehnay na diya
jab chali sard hawa mai nay tuhgay yaad kiya

iss ka roona nahi kyoon tum nay kiya dil barbaad
iska gham hai kay bohut dair mai barbad kia

hum ko kiskay gham nay mara, hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
kisnay tora dil hamara kisnay tora dil hamara yeh kahani phir sahi

dil kay lutnay ka sabab poocho na sab kay samnay
naam aaega tumhara ... ye kahani phir sahih

hum ko kiskay gham nay mara, hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
kisnay tora dil hamara kisnay tora dil hamara yeh kahani phir sahi

nafraton kay teer kha ker doston kay shehar main
hum nay kis kis ko pukara ....ya kahani phir sahih

hum ko kiskay gham nay mara, hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
hum ko kiskay gham nay mara yeh kahani phir sahi
kisnay tora dil hamara kisnay tora dil hamara yeh kahani phir sahi

kia batain pyar kee baazi wafa kee rah main
kaun jeeta kaun hara ... ye kahani phir sahih



bimar

Labels:

nabaz meri dekhkar mujhko ishq ka bimar likh diya,
main kyu na jaun qurbaan us hakim pe,
jisne ilaaz me us ka deedar likh diya



aa ja ki tera intezaar baaqi hai !

Labels:

Abhi to baaz ki asli udaan baaqi hai,
Aur bhi iss ka ek imtehan baaqi hai !

Ahle dil hamne jalaya tha roshni ke liye,
Jale makaan ka ab bhi nishaan baaqi hai !

Ham mohabbat mein mite unke liye til til kar,
Unko ab bhi hai gumaan ek jaan baaqi hai !

Chand lamho ki saza umr tak saha maine,
Ab Janaze mein mere kuch saamaan baaqi hai !

Har ek naks ko hamne bigadte dekha hai,
Hamara tanha dil lahu loohan baaqi hai !

hamare pyar ki zameen to tumne baant hi di,
Hamare dilon ka ek aasman baaqi hai !

Ab na baqi hai kisi par bhi bharosa karna,
Haath mein kuchh nahi saara jahan baaqi hai !

Mere khulus-e-ishq ka tu imtehan na le,
aa ja ki tera intezaar baaqi hai !



Dil Se Tujhko Bedili Hai

Labels:

Dil Se Tujhko Bedili Hai
Mujhko Hai Dil Ka Guroor
Tu Yeh Maane Ya Na Maane
Log Maanenge Zaroor

Yeh Mera Deewanapan Hai
Ya Mohabbat Ka Suroor
Tu Na Pehchaane To Hai Yeh
Teri Nazron Ka Kusoor
Yeh Mera Deewanapan ...

Dil Ko Teri Hi Tamanna
Dil Ko Hai Tujhse Hi Pyar
Chaahe Tu Aaye Na Aaye
Hum Karenge Intezaar
Yeh Mera Deewanapan...

Aise Veerane Mein Ek Din
Ghut Ke Mar Jayenge Hum
Jitna Ji Chaahe Pukaro
Phir Nahin Aayenge Hum
Yeh Mera Deewanapan...